Total Pageviews

Ehsaas

Kehtein hai ye eshsaas wo jazba hai jisse log zindagi ke maaine mehsoos kar saktein hai.....khushi aur gam mein fark kar saktein hai.....

Mein Priti sirf priti na mishra aur na panday... kyo..? kyoki priti mishra ne kabhi kuch khud ke siwa dekha hi nahi aur priti panday ne jarurat se
kuch jyada hi dekh liya...isliye mein Priti ab apne hi ehsaas se kuch kasmasahat mehsus karne lagi hu...

Sadi ke baad sasural se wapas aane par mujhe kisi bhi tarha ki pabandi nahi thi apne faisle karne ki bhi puri aazadi thi....
par na jane kaha, kya kami hai ki mera dam dhutne laga hai meri hi zindagi se....
office jati hu to lagta hai ghar chali jau aur ghar mein hoti hu to kehti hu ki office mein hoti to hi thik tha ye confusion isi liye hai kyoki mere pass
jane ko koi tisri jagah nahi....suna hoga aapne mulla ki dudh mazzid tak.... ye shayad mujh jaise hi kisi insaan par likhi gai thi.....

In dono pehluoo se ladna suru hi kiya tha, pure 2 saal lagaye thy apne andar wo takat bharne mein ki mein bhi bina pati, bina sahare ke reh
sakti hu....par mein bhi itni pagal hu ki ek dande ka sahara chodne ke liye diwar se sahara le baithi....
Facebook par Rajendra Aggarwal (Razzzz) ke kisi ek freind ki writting ko like liya meine...
Well Razz mera 8 saal purana freind hai humari mulakat apne zindagi ki sabse badi kamzori ko repair karane ke process mein hui thi.....
matlab ki hum dono hi apne kharab pairo ka opration karane gaye thy vishakhapatnam.....
aur fortunatly humare room bhi ek dusre ke bagal mein thy.......
mera plaster chadha pair aur uska gitar ye humari har shaam ka combination hota tha aur sath mein Banashree waha ki local ladki jo razzzz par
 flatte thi aur razz ko sab pata tha Ban razz ko clear line deti mein maze lati aur raz sharma jata.....
wo din mein kabhi nahi bhool sakti ab to razz bohot badal gaye hai par wo din mere liye gift hai raz ki taraf se aaj chahe kitni bhi
complications ho humari freindship mein par mein humesha uske saath hu kyoki mein janti hu ki wo ek bohot acha insaan hai.....
dil ka bohot sweet hai kabhi sapne mein bhi kisi ka bura nahi soch sakta aur na kabhi kisi bhi burai ka hissa hota hai wo.......
kuch khoobsurat ehsaas thy jo sabdo mein piroye gaye thy. Mein aur razz aaj sirf facebook freinds ban kar hi reh
gaye hai par aaj bhi mein ye to dawe ke saath keh sakti hu ki raaz kabhi mere bare mein kuch bura bol hi nahi sakta.....
humari kafi kam interaction hoti hai.... Isiliye jab razz ne sagar ki lines ko like kiya to meine bhi unhe padha aur mujhe wo lines padh kar laga ki........
isse beshak kisi gehre vicharo wale shayar ne likha hai..naam tha unka "Sagar Saab" like kiya meine ki wo raz ka freind hai to afcourse wo raz ki tarha hio honge....
pata nahi mein ye kyo nahi soch pai ki razzzz ke FB account mein more than 250 freinds hai aur beshak sab to razzzz ki tarha nahi ho sakte na...

Mein aaj tak ye nahi samajh pai ki wo ek like meri galti thi ya kuch aur....? aur shayad issi kashmakash ne mujhe aaj kalam uthane par mazboor kar diya.....

kuch dino ke baad meine ek freind request dekhi humesha ki tarha mein usse not now karne hi chali thi ki meine dekha ki we have one mutual freind cheak kiya to dekha ary ye to razz ke frd hai .............
then turant hi meine razz ke liye ek msg choda jismein likha tha ki aapke freind Sachin Pawar ki freind request aai hai accept karu ..... ?

sham tak razz ki call aai he says ki "hmmm kar lo, he is a nice person par ha inse koi bhi baat detail mein mat karna"
Kuch samjhi nahi mein ki razz kya keh kar nikal gaye......par ok meine freind request accept kar li.........